log jis ko KHuda samajhte hain
log jis ko ḳhudā samajhte haiñ
ham use irtiqā samajhte haiñ
maiñ to chashme ko paanī kahtā huuñ
log to mo.ajiza samajhte hai
maiñ samajhtā huuñ ye jahannum hai
aap duniyā ko kyā samajhte haiñ
koī kahte haiñ maut ko sadma
koī rab kī razā samajhte haiñ
aap karte haiñ baat matlab kī
ya.anī achchhā burā samajhte haiñ
maar Daale na aap ko koī
ḳhud ko sab se judā samajhte haiñ
log jis ko KHuda samajhte hain
hum use irtiqa samajhte hain
main to chashme ko pani kahta hun
log to moajiza samajhte hai
main samajhta hun ye jahannum hai
aap duniya ko kya samajhte hain
koi kahte hain maut ko sadma
koi rab ki raza samajhte hain
aap karte hain baat matlab ki
yani achchha bura samajhte hain
mar Dale na aap ko koi
KHud ko sab se juda samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.