log jo dil-figar hote hain
log jo dil-figār hote haiñ
chalte phirte mazār hote haiñ
jo mohabbat meñ ḳhaar hote haiñ
sāhab-e-sad-vaqār hote haiñ
jin ke dāman meñ ḳhaar hote haiñ
qadr-dān-e-bahār hote haiñ
jo mohabbat-shi.ār hote haiñ
sāzishoñ kā shikār hote haiñ
merī barbādī-e-mohabbat par
aap kyoñ sharmsār hote haiñ
un ke qaul-o-qarār kyā kahiye
sirf qaul-o-qarār hote haiñ
apnā matlab nikālne vaale
kis qadar hoshiyār hote haiñ
pur-ḳhulūsoñ kī pūchhte kyā ho
ḳhaar hote the ḳhaar hote haiñ
kyā ḳhabar thī ki rāh-e-ulfat meñ
har qadam ḳhārzār hote haiñ
kis tavaqqo pe log ai 'āsī'
zindagī par nisār hote haiñ
log jo dil-figar hote hain
chalte phirte mazar hote hain
jo mohabbat mein KHar hote hain
sahab-e-sad-waqar hote hain
jin ke daman mein KHar hote hain
qadr-dan-e-bahaar hote hain
jo mohabbat-shiar hote hain
sazishon ka shikar hote hain
meri barbaadi-e-mohabbat par
aap kyon sharmsar hote hain
un ke qaul-o-qarar kya kahiye
sirf qaul-o-qarar hote hain
apna matlab nikalne wale
kis qadar hoshiyar hote hain
pur-KHuluson ki puchhte kya ho
KHar hote the KHar hote hain
kya KHabar thi ki rah-e-ulfat mein
har qadam KHarzar hote hain
kis tawaqqo pe log ai 'asi'
zindagi par nisar hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.