log kahte hain yahan ek hasin rahta tha
log kahte haiñ yahāñ ek hasīñ rahtā thā
sar-e-ā.īna koī māh-jabīñ rahtā thā
vo bhī kyā din the ki bar-dosh-e-havā the ham bhī
āsmānoñ pe koī ḳhāk-nashīñ rahtā thā
maiñ use DhūñDtā phirtā thā bayābānoñ meñ
vo ḳhazāne kī tarah zer-e-zamīñ rahtā thā
phir bhī kyuuñ us se mulāqāt na hone paa.ī
maiñ jahāñ rahtā thā vo bhī to vahīñ rahtā thā
jaane 'fārūq' vo kyā shahr thā jis ke andar
ek Dar thā ki makīnoñ meñ makīñ rahtā thā
log kahte hain yahan ek hasin rahta tha
sar-e-aina koi mah-jabin rahta tha
wo bhi kya din the ki bar-dosh-e-hawa the hum bhi
aasmanon pe koi KHak-nashin rahta tha
main use DhunDta phirta tha bayabanon mein
wo KHazane ki tarah zer-e-zamin rahta tha
phir bhi kyun us se mulaqat na hone pai
main jahan rahta tha wo bhi to wahin rahta tha
jaane 'faruq' wo kya shahr tha jis ke andar
ek Dar tha ki makinon mein makin rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.