log milte bichhaDte rahte hain
log milte bichhaḌte rahte haiñ
rishte bante bigaḌte rahte haiñ
ye na.e rāste haiñ chāhat ke
aa.e din jo ukhaḌte rahte haiñ
ġham na kar dil ke TuuT jaane kā
ye chaman to ujaḌte rahte haiñ
hai zamāna na.ī rivāyat kā
log bāham jhagaḌte rahte haiñ
dil rafū kab talak karoge tum
kachche dhāge udhaḌte rahte haiñ
bahte rahte haiñ ashk āñkhoñ se
aur gunah mere jhaḌte rahte haiñ
pyaar jab bhī jatānā hotā hai
mujh se 'āġhāz' laḌte rahte haiñ
log milte bichhaDte rahte hain
rishte bante bigaDte rahte hain
ye nae raste hain chahat ke
aae din jo ukhaDte rahte hain
gham na kar dil ke TuT jaane ka
ye chaman to ujaDte rahte hain
hai zamana nai riwayat ka
log baham jhagaDte rahte hain
dil rafu kab talak karoge tum
kachche dhage udhaDte rahte hain
bahte rahte hain ashk aankhon se
aur gunah mere jhaDte rahte hain
pyar jab bhi jatana hota hai
mujh se 'aghaz' laDte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.