log paband-e-salasil hain magar KHamosh hain
log pāband-e-salāsil haiñ magar ḳhāmosh haiñ
be-hisī chhā.ī hai aisī ghar ke ghar ḳhāmosh haiñ
dekhte haiñ ek-dūje ko tamāshe kī tarah
un pe kartī hī nahīñ aaheñ asar ḳhāmosh haiñ
ham harīf-e-jāñ ko is se baḌh ke de dete javāb
koī to hikmat hai is meñ ham agar ḳhāmosh haiñ
apne hī ghar meñ nahīñ miltī amaañ to kyā kareñ
phir rahe haiñ muddatoñ se dar-ba-dar ḳhāmosh haiñ
TūTne se bach bhī sakte the yahāñ sab aa.ine
jaane kyuuñ is shahr ke ā.īna gar ḳhāmosh haiñ
pesh-ḳhema hai 'shanāvar' ye kisī tūfān kā
sab parinde uḌ ga.e haiñ aur shajar ḳhāmosh haiñ
log paband-e-salasil hain magar KHamosh hain
be-hisi chhai hai aisi ghar ke ghar KHamosh hain
dekhte hain ek-duje ko tamashe ki tarah
un pe karti hi nahin aahen asar KHamosh hain
hum harif-e-jaan ko is se baDh ke de dete jawab
koi to hikmat hai is mein hum agar KHamosh hain
apne hi ghar mein nahin milti aman to kya karen
phir rahe hain muddaton se dar-ba-dar KHamosh hain
TuTne se bach bhi sakte the yahan sab aaine
jaane kyun is shahr ke aaina gar KHamosh hain
pesh-KHema hai 'shanawar' ye kisi tufan ka
sab parinde uD gae hain aur shajar KHamosh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.