log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf
log yuuñ jaate nazar aate haiñ maqtal kī taraf
mas.ale jaise ravāna hoñ kisī hal kī taraf
maiñ huuñ ik lafz tarastā huuñ magar ma.anī ko
rashk se dekhtā huuñ tābe-e-mohmal kī taraf
shahr vaale hī kabhī khīñch ke le aate haiñ
jī mirā varna uḌā phirtā hai jañgal kī taraf
be-ḳhabar haal se huuñ ḳhauf hai ā.inda kā
aur āñkheñ haiñ mirī guzre hue kal kī taraf
vo udāsī hai ki sab but se bane baiThe haiñ
koī halchal hai to bas shahr ke pāgal kī taraf
log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf
masale jaise rawana hon kisi hal ki taraf
main hun ek lafz tarasta hun magar mani ko
rashk se dekhta hun tabe-e-mohmal ki taraf
shahr wale hi kabhi khinch ke le aate hain
ji mera warna uDa phirta hai jangal ki taraf
be-KHabar haal se hun KHauf hai aainda ka
aur aankhen hain meri guzre hue kal ki taraf
wo udasi hai ki sab but se bane baiThe hain
koi halchal hai to bas shahr ke pagal ki taraf
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.