log yun kamzor hum ko kah gae
log yuuñ kamzor ham ko kah ga.e
zulm saare ham ḳhushī se sah ga.e
muñh chiḌhāne meñ lagā thā jab fareb
lab mire ḳhāmosh ho kar rah ga.e
ik zarā inkār ham se kyā huā
nekiyoñ ke Dher saare Dah ga.e
aas bhī jannat kī baaqī rah ga.ī
sab ḳhazāne bhī yahīñ par rah ga.e
ek hichkī ġham hī aisā de ga.ī
āñsuoñ ke phir samundar bah ga.e
zindagī puurī huī 'arshad-rasūl’
aap ke bas kārnāme rah ga.e
log yun kamzor hum ko kah gae
zulm sare hum KHushi se sah gae
munh chiDhane mein laga tha jab fareb
lab mere KHamosh ho kar rah gae
ek zara inkar hum se kya hua
nekiyon ke Dher sare Dah gae
aas bhi jannat ki baqi rah gai
sab KHazane bhi yahin par rah gae
ek hichki gham hi aisa de gai
aansuon ke phir samundar bah gae
zindagi puri hui 'arshad-rasul’
aap ke bas karname rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.