logo ab kaisa gila kaisi shikayat uski
logo ab kaisā gila kaisī shikāyat us kī
ishq ho jaa.e to jaa.ez hai imāmat us kī
us ne mujh ko bhī banā Daalā kaḌe dil vaalā
mujh ko rone nahīñ detī hai mohabbat us kī
dekhne meñ to vo ik aam sī laḌkī hai magar
ishq har roz baḌhā detā hai qīmat us kī
jis tarah dekho lage jism mukammal us kā
kaise poshāk chhupā saktī hai zīnat us kī
bhūlnā chāhūñ to aa jaatī hai kuchh aur qarīb
dil kī dīvār se lag jaatī hai sūrat us kī
tum ko shāyad hī nazar aa.e mumāsil us kā
is tarah chāñd meñ DhūñDo na shabāhat us kī
us ko dekho to kabhī dhūp-bhare sāhil par
jab zarā sāñvlī ho jaatī hai rangat us kī
us kā chehra na kisī shaḳhs ko dhokā degā
us kā chehra jo chhupātā nahīñ nafrat us kī
jab bhī sajde meñ vo rakh detī hai peshānī ko
mere kamre meñ mahak jaatī hai barkat us kī
ghar bhī pakvān kī ḳhushbū meñ basā rahtā hai
phailtī jaatī hai har samt bhī lazzat us kī
ek mahshar hai dil-o-jāñ meñ utarnā us kā
mujh meñ har roz hī barpā hai qayāmat us kī
logo ab kaisa gila kaisi shikayat us ki
ishq ho jae to jaez hai imamat us ki
us ne mujh ko bhi bana Dala kaDe dil wala
mujh ko rone nahin deti hai mohabbat us ki
dekhne mein to wo ek aam si laDki hai magar
ishq har roz baDha deta hai qimat us ki
jis tarah dekho lage jism mukammal us ka
kaise poshak chhupa sakti hai zinat us ki
bhulna chahun to aa jati hai kuchh aur qarib
dil ki diwar se lag jati hai surat us ki
tum ko shayad hi nazar aae mumasil us ka
is tarah chand mein DhunDo na shabahat us ki
us ko dekho to kabhi dhup-bhare sahil par
jab zara sanwli ho jati hai rangat us ki
us ka chehra na kisi shaKHs ko dhoka dega
us ka chehra jo chhupata nahin nafrat us ki
jab bhi sajde mein wo rakh deti hai peshani ko
mere kamre mein mahak jati hai barkat us ki
ghar bhi pakwan ki KHushbu mein basa rahta hai
phailti jati hai har samt bhi lazzat us ki
ek mahshar hai dil-o-jaan mein utarna us ka
mujh mein har roz hi barpa hai qayamat us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.