logon ke murshad ek taraf
logoñ ke murshad ek taraf
aur zehn meñ shāyad ek taraf
lekin kahne ko zinda haiñ
marnā sau fīsad ek taraf
āvāzeñ qaid nahīñ hotīñ
had ho yā sarhad ek taraf
tum aao to ho saktā hai
jiine kā maqsad ek taraf
ab tak jau bhī tahrīr huā
tere naam ke abjad ek taraf
duniyā meñ sab kuchh faanī hai
tere ḳhāl-o-ḳhad ek taraf
ham Thahre hue rastoñ se haiñ
ye ruḳhsat-o-āmad ek taraf
naqshe kāġhaz ke TukḌe haiñ
siine meñ sarhad ek taraf
insān ḳhatā kā putlā hai
albatta murtad ek taraf
bas naam rahe gā allāh kā
baaqī shadd-o-mad ek taraf
logon ke murshad ek taraf
aur zehn mein shayad ek taraf
lekin kahne ko zinda hain
marna sau fisad ek taraf
aawazen qaid nahin hotin
had ho ya sarhad ek taraf
tum aao to ho sakta hai
jine ka maqsad ek taraf
ab tak jau bhi tahrir hua
tere nam ke abjad ek taraf
duniya mein sab kuchh fani hai
tere KHal-o-KHad ek taraf
hum Thahre hue raston se hain
ye ruKHsat-o-amad ek taraf
naqshe kaghaz ke TukDe hain
sine mein sarhad ek taraf
insan KHata ka putla hai
albatta murtad ek taraf
bas nam rahe ga allah ka
baqi shadd-o-mad ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.