logon ne hum ko shahr ka qazi bana diya
logoñ ne ham ko shahr kā qaazī banā diyā
is hādse ne ham ko namāzī banā diyā
tum ko kahā jo chāñd to tum duur ho ga.e
tashbīh ko bhī tum ne majāzī banā diyā
ek aur din kī shaam kisī tarh ho ga.ī
kuchh de-dilā ke haal ko maazī banā diyā
buġhz-e-muāviya meñ sabhī ek ho ga.e
is ittihād ne mujhe naazī banā diyā
ḳhālī alāmatoñ se ma.ānī nikāl kar
tanqīd ko bhī sho.abda-bāzī banā diyā
logon ne hum ko shahr ka qazi bana diya
is hadse ne hum ko namazi bana diya
tum ko kaha jo chand to tum dur ho gae
tashbih ko bhi tum ne majazi bana diya
ek aur din ki sham kisi tarh ho gai
kuchh de-dila ke haal ko mazi bana diya
bughz-e-muawiya mein sabhi ek ho gae
is ittihad ne mujhe nazi bana diya
KHali alamaton se maani nikal kar
tanqid ko bhi shoabda-bazi bana diya
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013 )
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.