lohu pina ras aata hai
lohū piinā raas aatā hai
ġham haikal siine khātā hai
ashk chamakne kī mohlat meñ
sahrā paanī ho jaatā hai
sau ḳhushbūeñ haiñ paanī meñ
phūloñ kā chashma daatā hai
ġham chehre par baiThe baiThe
kitne rang uThā laatā hai
chhatnārī āñkhoñ kā bādal
dil ko motī kar jaatā hai
paañv meñ kyā chakkar hai bagulā
jo andhe ġhote khātā hai
lohu pina ras aata hai
gham haikal sine khata hai
ashk chamakne ki mohlat mein
sahra pani ho jata hai
sau KHushbuen hain pani mein
phulon ka chashma data hai
gham chehre par baiThe baiThe
kitne rang uTha lata hai
chhatnari aankhon ka baadal
dil ko moti kar jata hai
panw mein kya chakkar hai bagula
jo andhe ghote khata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.