luT gae ahl-e-gham jal gae aashiyan barq ka tilmilana ghazab ho gaya
luT gae ahl-e-gham jal gae aashiyan barq ka tilmilana ghazab ho gaya
Shauq Asar Rampuri
MORE BYShauq Asar Rampuri
luT ga.e ahl-e-ġham jal ga.e āshiyāñ barq kā tilmilānā ġhazab ho gayā
jin ke aane kī māñgī thī barsoñ duā un bahāroñ kā aanā ġhazab ho gayā
fikr-e-hastī ga.ī fikr-e-duniyā ga.ī āsmāñ ke gile ġham kī biptā ga.ī
ho ga.e gul sabhī jagmagāte diye sham-e-ulfat jalānā ġhazab ho gayā
aañkh pur-āb maġhmūm hai zindagī dil hai betāb āñkhoñ se niiñd uḌ ga.ī
un kī mahfil meñ jaanā to mushkil na thā un kī mahfil se aanā ġhazab ho gayā
sāmne se mire jab bhī jaate haiñ vo ruḳh bachāte haiñ nazreñ churāte haiñ vo
pyaar un se jatānā sitam ho gayā raaz dil kā batānā ġhazab ho gayā
chāñd sharmā gayā phuul qurbāñ hue husn-e-kaun-o-makāñ aa gayā vajd meñ
'shauq' ko dekh kar bazm meñ aap kā zer-e-lab muskurānā ġhazab ho gayā
luT gae ahl-e-gham jal gae aashiyan barq ka tilmilana ghazab ho gaya
jin ke aane ki mangi thi barson dua un bahaaron ka aana ghazab ho gaya
fikr-e-hasti gai fikr-e-duniya gai aasman ke gile gham ki bipta gai
ho gae gul sabhi jagmagate diye sham-e-ulfat jalana ghazab ho gaya
aankh pur-ab maghmum hai zindagi dil hai betab aankhon se nind uD gai
un ki mahfil mein jaana to mushkil na tha un ki mahfil se aana ghazab ho gaya
samne se mere jab bhi jate hain wo ruKH bachate hain nazren churaate hain wo
pyar un se jatana sitam ho gaya raaz dil ka batana ghazab ho gaya
chand sharma gaya phul qurban hue husn-e-kaun-o-makan aa gaya wajd mein
'shauq' ko dekh kar bazm mein aap ka zer-e-lab muskurana ghazab ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.