Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

luTa ke baiTha hun main sara zauq-e-husn apna

Salim Saleem

luTa ke baiTha hun main sara zauq-e-husn apna

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    luTā ke baiThā huuñ maiñ saarā zauq-e-husn apnā

    bas ik junūñ thā ki kuchh tujh se māvarā lā.ūñ

    bhaḌaktā rahtā hai āñkhoñ meñ ik charāġh-e-badan

    mujhe havas hai ki us ke liye havā lā.ūñ

    vo ek ḳhvāb jo mujh tak abhī nahīñ aayā

    yahī karūñ use duniyā se ab uThā lā.ūñ

    luTa ke baiTha hun main sara zauq-e-husn apna

    bas ek junun tha ki kuchh tujh se mawara laun

    bhaDakta rahta hai aankhon mein ek charagh-e-badan

    mujhe hawas hai ki us ke liye hawa laun

    wo ek KHwab jo mujh tak abhi nahin aaya

    yahi karun use duniya se ab uTha laun

    Source :
    • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 43)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 2nd
    • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 45)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2017)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now