luTa ke rah-e-mohabbat mein har KHushi maine
luTā ke rāh-e-mohabbat meñ har ḳhushī maiñ ne
liyā hai ġham kā sahārā abhī abhī maiñ ne
na jaane kyuuñ tirī chashm-e-karam ko sah na sakā
tire sitam to sahe the hañsī ḳhushī maiñ ne
vahīñ pe aa ga.e āñkhoñ meñ daf.atan aañsū
jahāñ bhī dekh lī hañstī huī kalī maiñ ne
na khā sakeñgī nigāheñ mirī fareb sukūñ
ki dhaḌkanoñ hī maiñ paa.ī hai zindagī maiñ ne
luTa ke rah-e-mohabbat mein har KHushi main ne
liya hai gham ka sahaara abhi abhi main ne
na jaane kyun teri chashm-e-karam ko sah na saka
tere sitam to sahe the hansi KHushi main ne
wahin pe aa gae aankhon mein dafatan aansu
jahan bhi dekh li hansti hui kali main ne
na kha sakengi nigahen meri fareb sukun
ki dhaDkanon hi main pai hai zindagi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.