lutf aane laga bikharne mein
lutf aane lagā bikharne meñ
ek ġham ko hazār karne meñ
bas zarā sā phisal ga.e the ham
ik bagūle pe paañv dharne meñ
kitnī āñkhoñ se bhar ga.ī āñkheñ
tere ḳhvāboñ se phir guzarne meñ
maiñ ne sochā madad karoge tum
kam-nasībī ke ghaav bharne meñ
bujhte jaate haiñ mere log yahāñ
raushnī ko bahāl karne meñ
kis qadar haath ho gayā zaḳhmī
ḳhud-kushī tere par katarne meñ
lutf aane laga bikharne mein
ek gham ko hazar karne mein
bas zara sa phisal gae the hum
ek bagule pe panw dharne mein
kitni aankhon se bhar gai aankhen
tere KHwabon se phir guzarne mein
main ne socha madad karoge tum
kam-nasibi ke ghaw bharne mein
bujhte jate hain mere log yahan
raushni ko bahaal karne mein
kis qadar hath ho gaya zaKHmi
KHud-kushi tere par katarne mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.