Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin

Amanat Lakhnavi

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin

Amanat Lakhnavi

lutf ab ziist ai gardish-e-ayyām nahīñ

mai nahīñ yaar nahīñ shīsha nahīñ jaam nahīñ

kab mujhe yaad ruḳh o zulf-e-siyah-fām nahīñ

koī shaġhl is ke sivā sub.h se shaam nahīñ

har suḳhan par mujhe detā hai vo bad-ḳhū dushnām

kaun baat mirī qābil-e-in.ām nahīñ

nek-nāmī meñ dilā firqa-e-ushshāq haiñ ishq

hai vo badnām mohabbat meñ jo badnām nahīñ

chehra-e-yār ke saude meñ kahā kartā huuñ

ruḳh hai ye sub.h nahīñ zulf hai ye shaam nahīñ

bosa āñkhoñ jo māñgā to vo hañs kar bole

dekh lo duur se khāne ke ye bādām nahīñ

halqa-e-zulf-e-butāñ meñ hai bharī nik.hat-e-gul

ai dil is laam meñ bū-e-gul-e-islām nahīñ

ibtidā ishq hai dekh 'amānat' hushyār

ye vo āġhāz hai jis koī anjām nahīñ

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin

mai nahin yar nahin shisha nahin jam nahin

kab mujhe yaad ruKH o zulf-e-siyah-fam nahin

koi shaghl is ke siwa subh se ta sham nahin

har suKHan par mujhe deta hai wo bad-KHu dushnam

kaun si baat meri qabil-e-inam nahin

nek-nami mein dila firqa-e-ushshaq hain ishq

hai wo badnam mohabbat mein jo badnam nahin

chehra-e-yar ke saude mein kaha karta hun

ruKH hai ye subh nahin zulf hai ye sham nahin

bosa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole

dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin

halqa-e-zulf-e-butan mein hai bhari nikhat-e-gul

ai dil is lam mein bu-e-gul-e-islam nahin

ibtida ishq ki hai dekh 'amanat' hushyar

ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now