lutf-e-rangini-e-hayat nahin
lutf-e-rañgīnī-e-hayāt nahīñ
ġham nahīñ jab to kā.enāt nahīñ
jis ko nisbat hai aap ke dar se
us ko ehsās-e-mushkilāt nahīñ
jo naved-e-hayāt thī ai dil
un kī nazroñ meñ ab vo baat nahīñ
aur kyā haiñ ye husn ke jalve
ishq ke gar tasarrufāt nahīñ
phir hai kyā rāz-e-kā.enāt ai dost
ġham agar rāz-e-kā.enāt nahīñ
vo na ā.eñge shām-e-ġham 'sādiq'
mere aise tasavvurāt nahīñ
lutf-e-rangini-e-hayat nahin
gham nahin jab to kaenat nahin
jis ko nisbat hai aap ke dar se
us ko ehsas-e-mushkilat nahin
jo nawed-e-hayat thi ai dil
un ki nazron mein ab wo baat nahin
aur kya hain ye husn ke jalwe
ishq ke gar tasarrufat nahin
phir hai kya raaz-e-kaenat ai dost
gham agar raaz-e-kaenat nahin
wo na aaenge sham-e-gham 'sadiq'
mere aise tasawwuraat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.