lutf se tere siwa dard mahak jata hai
lutf se tere sivā dard mahak jaatā hai
ye vo sho.ala hai bujhāo to bhaḌak jaatā hai
ik zamāne ko rakhā tere ta.alluq se aziiz
silsila dil kā bahut duur talak jaatā hai
tum mire saath chale ho to mire saath raho
ki musāfir sar-e-manzil bhī bhaTak jaatā hai
ham to vo haiñ tire va.ade pe bhī jī sakte haiñ
ġhuncha paiġhām-e-sabā se bhī chaTak jaatā hai
mastī-e-shauq sambhalne nahīñ detī 'ishqī'
jaam lab tak nahīñ aatā ki chhalak jaatā hai
lutf se tere siwa dard mahak jata hai
ye wo shoala hai bujhao to bhaDak jata hai
ek zamane ko rakha tere talluq se aziz
silsila dil ka bahut dur talak jata hai
tum mere sath chale ho to mere sath raho
ki musafir sar-e-manzil bhi bhaTak jata hai
hum to wo hain tere wade pe bhi ji sakte hain
ghuncha paigham-e-saba se bhi chaTak jata hai
masti-e-shauq sambhalne nahin deti 'ishqi'
jam lab tak nahin aata ki chhalak jata hai
- Book : Qamat (Pg. 28)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.