luTne walon ka madad-gar nahin hai koi
luTne vāloñ kā madad-gār nahīñ hai koī
is qabīle kā bhī sardār nahīñ hai koī
maiñ vo mahrūm-e-tamannā huuñ ki jis kī ḳhātir
bharī bastī meñ azādār nahīñ hai koī
shāh-zādī tirī āñkhoñ meñ ye dahshat kaisī
phuul haiñ haath meñ talvār nahīñ hai koī
dil kisī vaqt kisī par bhī fidā ho jaa.e
ye vo kashtī hai ki patvār nahīñ hai koī
aañkh meñ ashk nahīñ haiñ to yahī lagtā hai
ik sitārā bhī numūdār nahīñ hai koī
mujh ko is baat se aatā hai bahut ḳhauf yahāñ
sab farishte haiñ gunahgār nahīñ hai koī
dekh ye zaḳhm tarāshe hue lagte haiñ tujhe
tū samajhtā hai mirā yaar nahīñ hai koī
ik ḳhalā aur bahut gahrā ḳhalā hai 'sāhir'
dekh aayā huuñ maiñ us paar nahīñ hai koī
luTne walon ka madad-gar nahin hai koi
is qabile ka bhi sardar nahin hai koi
main wo mahrum-e-tamanna hun ki jis ki KHatir
bhari basti mein azadar nahin hai koi
shah-zadi teri aankhon mein ye dahshat kaisi
phul hain hath mein talwar nahin hai koi
dil kisi waqt kisi par bhi fida ho jae
ye wo kashti hai ki patwar nahin hai koi
aankh mein ashk nahin hain to yahi lagta hai
ek sitara bhi numudar nahin hai koi
mujh ko is baat se aata hai bahut KHauf yahan
sab farishte hain gunahgar nahin hai koi
dekh ye zaKHm tarashe hue lagte hain tujhe
tu samajhta hai mera yar nahin hai koi
ek KHala aur bahut gahra KHala hai 'sahir'
dekh aaya hun main us par nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.