lun wam baKHt-e-KHufta se yak-KHwab-e-KHush wale
luuñ vaam baḳht-e-ḳhufta se yak-ḳhvāb-e-ḳhush vale
'ġhālib' ye ḳhauf hai ki kahāñ se adā karūñ
ḳhush vahshate ki arz-e-junūn-e-fanā karūñ
juuñ gard-e-rāh jāma-e-hastī qabā karūñ
aa ai bahār-e-nāz ki tere ḳhirām se
dastār gard-e-shāḳh-e-gul-e-naqsh-e-pā karūñ
ḳhush ūftādgī ki ba-sahrā-e-intizār
juuñ jaada gard-e-rah se nigah surma-sā karūñ
sabr aur ye adā ki dil aave asīr-e-chāk
dard aur ye kamīñ ki rah-e-nāla vā karūñ
vo be-dimāġh-e-minnat-e-iqbāl huuñ ki maiñ
vahshat ba-dāġh-e-sāya-e-bāl-e-humā karūñ
vo iltimās-e-lazzat-e-be-dād huuñ ki maiñ
teġh-e-sitam ko pusht-e-ḳham-e-iltijā karūñ
vo rāz-e-nāla huuñ ki ba-sharh-e-nigāh-e-ijz
afshāñ ġhubār-e-surma se fard-e-sadā karūñ
lun wam baKHt-e-KHufta se yak-KHwab-e-KHush wale
'ghaalib' ye KHauf hai ki kahan se ada karun
KHush wahshate ki arz-e-junun-e-fana karun
jun gard-e-rah jama-e-hasti qaba karun
aa ai bahaar-e-naz ki tere KHiram se
dastar gard-e-shaKH-e-gul-e-naqsh-e-pa karun
KHush uftadgi ki ba-sahra-e-intizar
jun jada gard-e-rah se nigah surma-sa karun
sabr aur ye ada ki dil aawe asir-e-chaak
dard aur ye kamin ki rah-e-nala wa karun
wo be-dimagh-e-minnat-e-iqbaal hun ki main
wahshat ba-dagh-e-saya-e-baal-e-huma karun
wo iltimas-e-lazzat-e-be-dad hun ki main
tegh-e-sitam ko pusht-e-KHam-e-iltija karun
wo raaz-e-nala hun ki ba-sharh-e-nigah-e-ijz
afshan ghubar-e-surma se fard-e-sada karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.