luTa mujhe uski har ada ne
luuTā mujhe us kī har adā ne
andāz ne naaz ne hayā ne
donoñ ne kiyā hai mujh ko rusvā
kuchh dard ne aur kuchh davā ne
bejā hai tirī jafā kā shikva
maarā mujh ko mirī vafā ne
poshīda nahīñ tumhārī chāleñ
kuchh mujh se kahā hai naqsh-e-pā ne
kyuuñ jaur-kashān-e-āsmāñ se
muñh pher liyā tirī jafā ne
dil ko māyūs kar diyā hai
begāna mizāj-āshnā ne
donoñ ne baḌhā.ī raunaq-e-husn
shoḳhī ne kabhī kabhī hayā ne
ḳhush paate haiñ mujh ko dost 'vahshat'
dil kā ahvāl kaun jaane
luTa mujhe us ki har ada ne
andaz ne naz ne haya ne
donon ne kiya hai mujh ko ruswa
kuchh dard ne aur kuchh dawa ne
beja hai teri jafa ka shikwa
mara mujh ko meri wafa ne
poshida nahin tumhaari chaalen
kuchh mujh se kaha hai naqsh-e-pa ne
kyun jaur-kashan-e-asman se
munh pher liya teri jafa ne
dil ko mayus kar diya hai
begana mizaj-ashna ne
donon ne baDhai raunaq-e-husn
shoKHi ne kabhi kabhi haya ne
KHush pate hain mujh ko dost 'wahshat'
dil ka ahwal kaun jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.