Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao

Fani Badayuni

maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    ma.āl-e-soz-e-ġham-hā-e-nihānī dekhte jaao

    bhaḌak uTThī hai sham-e-zindagānī dekhte jaao

    chale bhī aao vo hai qabr-e-'fānī' dekhte jaao

    tum apne marne vaale nishānī dekhte jaao

    abhī kyā hai kisī din ḳhuuñ rulā degī ye ḳhāmoshī

    zabān-e-hāl jādū-bayānī dekhte jaao

    ġhurūr-e-husn sadqa koī jaatā hai duniyā se

    kisī ḳhaak meñ miltī javānī dekhte jaao

    udhar muñh pher kar kyā zab.h karte ho idhar dekho

    mirī gardan pe ḳhanjar ravānī dekhte jaao

    bahār-e-zindagī lutf dekhā aur dekhoge

    kisī aish-e-marg-e-nā-gahānī dekhte jaao

    sune jaate na the tum se mire din-rāt ke shikve

    kafan sarkāo merī be-zabānī dekhte jaao

    vo uTThā shor-e-mātam āḳhirī dīdār-e-mayyat par

    ab uTThā chāhtī hai na.ash-e-'fānī' dekhte jaao

    maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao

    bhaDak uTThi hai sham-e-zindagani dekhte jao

    chale bhi aao wo hai qabr-e-'fani' dekhte jao

    tum apne marne wale ki nishani dekhte jao

    abhi kya hai kisi din KHun rula degi ye KHamoshi

    zaban-e-haal ki jadu-bayani dekhte jao

    ghurur-e-husn ka sadqa koi jata hai duniya se

    kisi ki KHak mein milti jawani dekhte jao

    udhar munh pher kar kya zabh karte ho idhar dekho

    meri gardan pe KHanjar ki rawani dekhte jao

    bahaar-e-zindagi ka lutf dekha aur dekhoge

    kisi ka aish-e-marg-e-na-gahani dekhte jao

    sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe

    kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao

    wo uTTha shor-e-matam aaKHiri didar-e-mayyat par

    ab uTTha chahti hai nash-e-'fani' dekhte jao

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now