mah-e-man shama tuman dil ke shabistan mein aa
māh-e-man sham.a tuman dil ke shabistān meñ aa
nūr-e-dīda ho merī chashm ke aivān meñ aa
be-niyāzī suuñ terī jāñ-ba-lab aayā hai mujhe
chhoḌ kar taur-e-jafā kuchh rah-e-ehsān meñ aa
dil to behāl huā goī naman sargardāñ
zulf-e-pur-pech ke chaugān le maidān meñ aa
sarv-o-shamshād-o-gul-o-lāla usī kā hai zuhūr
dekhne us ke zuhūrāt kuuñ bustān meñ aa
sūrat-e-lafz-o-ibārāt-o-ma.ānī andar
jalva-gar tuuñ che huā hai mere dīvān meñ aa
saḳht pardā hai gumāñ dīda-e-dil par 'qurbī'
dek mukh yaar kā har jā rah-e-īqān meñ aa
mah-e-man shama tuman dil ke shabistan mein aa
nur-e-dida ho meri chashm ke aiwan mein aa
be-niyazi sun teri jaan-ba-lab aaya hai mujhe
chhoD kar taur-e-jafa kuchh rah-e-ehsan mein aa
dil to behaal hua goi naman sargardan
zulf-e-pur-pech ke chaugan le maidan mein aa
sarw-o-shamshad-o-gul-o-lala usi ka hai zuhur
dekhne us ke zuhuraat kun bustan mein aa
surat-e-lafz-o-ibaraat-o-maani andar
jalwa-gar tun che hua hai mere diwan mein aa
saKHt parda hai guman dida-e-dil par 'qurbi'
dek mukh yar ka har ja rah-e-iqan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.