mah kitne hain sal kitne hain
maah kitne haiñ saal kitne haiñ
hijr kitne visāl kitne haiñ
bhiiḌ to bastiyoñ meñ kaafī hai
aadmī bā-kamāl kitne haiñ
jang terī baḌī tavīl sahī
ma.arke be-misāl kitne haiñ
log barsoñ samajh nahīñ paate
un ke shīshe meñ baal kitne haiñ
jis kī qismat meñ haiñ uruuj bahut
dekh ye bhī zavāl kitne haiñ
tū hai ḳhāmosh aur barsoñ se
mere dil meñ savāl kitne haiñ
kyā ḳhabar hai 'kañval' mujhe kho kar
us ke dil meñ malāl kitne haiñ
mah kitne hain sal kitne hain
hijr kitne visal kitne hain
bhiD to bastiyon mein kafi hai
aadmi ba-kamal kitne hain
jang teri baDi tawil sahi
marke be-misal kitne hain
log barson samajh nahin pate
un ke shishe mein baal kitne hain
jis ki qismat mein hain uruj bahut
dekh ye bhi zawal kitne hain
tu hai KHamosh aur barson se
mere dil mein sawal kitne hain
kya KHabar hai 'kanwal' mujhe kho kar
us ke dil mein malal kitne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.