mail hun gul-badan ka mujhe gul sin kya gharaz
maa.il huuñ gul-badan kā mujhe gul siiñ kyā ġharaz
kākul meñ us ke band huuñ sumbul siiñ kyā ġharaz
ḳhūnīñ diloñ ke qatl kuuñ sīdhī nigāh bas
is teġh kuuñ fasān-e-taġhāful siiñ kyā ġharaz
rusvā.ī-e-jahāñ siiñ mujhe fikr kuchh nahīñ
dīvāna-e-junūñ kuuñ ta.ammul siiñ kyā ġharaz
bas hai ġhubār-e-rāh-e-libās-e-shahanshahī
sultān-e-be-ḳhudī kuuñ tajammul siiñ kyā ġharaz
jaam mai-e-alast siiñ be-ḳhud huuñ ai 'sirāj'
daur-e-sharāb-o-shīsha-e-pur-mul siiñ kyā ġharaz
mail hun gul-badan ka mujhe gul sin kya gharaz
kakul mein us ke band hun sumbul sin kya gharaz
KHunin dilon ke qatl kun sidhi nigah bas
is tegh kun fasan-e-taghaful sin kya gharaz
ruswai-e-jahan sin mujhe fikr kuchh nahin
diwana-e-junun kun tammul sin kya gharaz
bas hai ghubar-e-rah-e-libas-e-shahanshahi
sultan-e-be-KHudi kun tajammul sin kya gharaz
jam mai-e-alast sin be-KHud hun ai 'siraj'
daur-e-sharab-o-shisha-e-pur-mul sin kya gharaz
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 425)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.