mal-o-daulat par ai insan itna kyon itraata hai
māl-o-daulat par ai insāñ itnā kyoñ itrātā hai
bhuul kar miskīnoñ ko maġhrūr kyoñ ban jaatā hai
hāl-e-dil apnā sunā.eñ to sunā.eñ kaise ham
rū-ba-rū ho kar bhī vo ham se baḌā sharmātā hai
rahte haiñ māyūs jo mālūm kar leñ vo zarā
kahte haiñ māyūs rahnā kufr tak le jaatā hai
lohā tap kar aag meñ jab surḳh sā ho jaatā hai
ban ke vo talvār phir zālim se jā Takrātā hai
ek jaisā vaqt kis kā rahtā hai 'gulzār' yaañ
vaqt to achchhā burā sab hī par aatā jaatā hai
mal-o-daulat par ai insan itna kyon itraata hai
bhul kar miskinon ko maghrur kyon ban jata hai
haal-e-dil apna sunaen to sunaen kaise hum
ru-ba-ru ho kar bhi wo hum se baDa sharmata hai
rahte hain mayus jo malum kar len wo zara
kahte hain mayus rahna kufr tak le jata hai
loha tap kar aag mein jab surKH sa ho jata hai
ban ke wo talwar phir zalim se ja Takraata hai
ek jaisa waqt kis ka rahta hai 'gulzar' yan
waqt to achchha bura sab hi par aata jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.