mal-o-mata-e-dasth sarabon ko de diya
māl-o-matā-e-dasth sarāboñ ko de diyā
jo kuchh zar-e-ḳhayāl thā ḳhvāboñ ko de diyā
rakhne kā jo guhar thā use dil meñ rakh liyā
bikne kā thā jo maal kitāboñ ko de diyā
sabzoñ ko ḳhush-libās banā kar zamīn ne
kuchh rashk kā javāz gulāboñ ko de diyā
apne lahū kī buuñd banā kar dam-e-nashāt
ik soz-e-lā-zavāl sharāboñ ko de diyā
aa.e na jab giraft meñ saif-o-qalam 'na.īm'
apnā tamām karb rabāboñ ko de diyā
mal-o-mata-e-dasth sarabon ko de diya
jo kuchh zar-e-KHayal tha KHwabon ko de diya
rakhne ka jo guhar tha use dil mein rakh liya
bikne ka tha jo mal kitabon ko de diya
sabzon ko KHush-libas bana kar zamin ne
kuchh rashk ka jawaz gulabon ko de diya
apne lahu ki bund bana kar dam-e-nashat
ek soz-e-la-zawal sharabon ko de diya
aae na jab giraft mein saif-o-qalam 'naim'
apna tamam karb rababon ko de diya
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 97)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.