mal-o-mata-e-kucha-o-bazar bik gae
māl-o-matā-e-kūcha-o-bāzār bik ga.e
ahd-e-havas meñ sab dar-o-dīvār bik ga.e
qasr-e-shahī meñ jubba-o-dastār bik ga.e
nīlām ghar meñ qāfila-sālār bik ga.e
jins-e-vafā ke chaav meñ aa.e the sub.h-dam
bolī lagī to ḳhud bhī ḳharīdār bik ga.e
shab bhar rahī fazā meñ vafā-dāriyoñ kī guuñj
sūraj chaḌhā to saare vafādār bik ga.e
vo zor thā girānī-e-jins-e-hunar kā aaj
maiñ ḳhud bhī bik gayā mire afkār bik ga.e
hosh-o-havās qalb-o-nazar sajda-o-qayām
ai ishq tere saare hī ġham-ḳhvār bik ga.e
mal-o-mata-e-kucha-o-bazar bik gae
ahd-e-hawas mein sab dar-o-diwar bik gae
qasr-e-shahi mein jubba-o-dastar bik gae
nilam ghar mein qafila-salar bik gae
jins-e-wafa ke chaw mein aae the subh-dam
boli lagi to KHud bhi KHaridar bik gae
shab bhar rahi faza mein wafa-dariyon ki gunj
suraj chaDha to sare wafadar bik gae
wo zor tha girani-e-jins-e-hunar ka aaj
main KHud bhi bik gaya mere afkar bik gae
hosh-o-hawas qalb-o-nazar sajda-o-qayam
ai ishq tere sare hi gham-KHwar bik gae
- Book : Pakistani Adab (Pg. 512)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.