malum hai wo mujhse KHafa hai bhi nahin bhi
mālūm hai vo mujh se ḳhafā hai bhī nahīñ bhī
mere liye hoñToñ pe duā hai bhī nahīñ bhī
muddat huī is raah se guzre hue us ko
āñkhoñ meñ vo naqsh-e-kaf-e-pā hai bhī nahīñ bhī
muñh khol ke bolā nahīñ jaatā ki shifā de
us paas mire dil kī davā hai bhī nahīñ bhī
kahte the kabhī ham ki ḳhudā hai to kahāñ hai
ab soch rahe haiñ ki ḳhudā hai bhī nahīñ bhī
rakkhe bhī nazar bazm meñ dekhe bhī nahīñ vo
auroñ se ye andāz judā hai bhī nahīñ bhī
go ziist hai miTtī huī sāñsoñ kā tasalsul
qistoñ meñ ye jiine kī sazā hai bhī nahīñ bhī
yā dil meñ kabhī yā kabhī saḌkoñ pe mileñge
ham ḳhāna-ḳharāboñ kā patā hai bhī nahīñ bhī
ham se jo banā sab ke liye ham ne kiyā hai
mālūm hai nekī kā sila hai bhī nahīñ bhī
vo mom bhī hai mere liye sañg bhī 'āzar'
kahte haiñ ki is dil meñ vafā hai bhī nahīñ bhī
malum hai wo mujh se KHafa hai bhi nahin bhi
mere liye honTon pe dua hai bhi nahin bhi
muddat hui is rah se guzre hue us ko
aankhon mein wo naqsh-e-kaf-e-pa hai bhi nahin bhi
munh khol ke bola nahin jata ki shifa de
us pas mere dil ki dawa hai bhi nahin bhi
kahte the kabhi hum ki KHuda hai to kahan hai
ab soch rahe hain ki KHuda hai bhi nahin bhi
rakkhe bhi nazar bazm mein dekhe bhi nahin wo
auron se ye andaz juda hai bhi nahin bhi
go zist hai miTti hui sanson ka tasalsul
qiston mein ye jine ki saza hai bhi nahin bhi
ya dil mein kabhi ya kabhi saDkon pe milenge
hum KHana-KHarabon ka pata hai bhi nahin bhi
hum se jo bana sab ke liye hum ne kiya hai
malum hai neki ka sila hai bhi nahin bhi
wo mom bhi hai mere liye sang bhi 'azar'
kahte hain ki is dil mein wafa hai bhi nahin bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.