man le ab bhi meri jaan-e-ada dard na chun
maan le ab bhī mirī jān-e-adā dard na chun
kaam aatī nahīñ phir koī duā dard na chun
aur kuchh der meñ mujh ko chale jaanā hogā
aur kuchh der mujhe ḳhvāb dikhā dard na chun
ek bhī dard na kam hogā ka.ī sadiyoñ meñ
ab bhī kahtā huuñ tujhe vaqt bachā dard na chun
vo jo likkhā hai kisī taur nahīñ Tal saktā
aa mire dil meñ koī diip jalā dard na chun
maiñ tire lams se mahrūm na rah jā.ūñ kahīñ
āḳhirī baar mujhe ḳhud se lagā dard na chun
ab to ye reshmī poreñ bhī chhidī jaatī haiñ
ḳhud ko ab baḳhsh bhī de zulm na Dah dard na chun
ye nahīñ hoñge to khaa.e nahīñ ho jā.ūñgā maiñ
mere zaḳhmoñ se koī giit banā dard na chun
kuchh na degā ye masā.il se ulajhte rahnā
chhoḌ sab kuchh mirī bāñhoñ meñ samā dard na chun
man le ab bhi meri jaan-e-ada dard na chun
kaam aati nahin phir koi dua dard na chun
aur kuchh der mein mujh ko chale jaana hoga
aur kuchh der mujhe KHwab dikha dard na chun
ek bhi dard na kam hoga kai sadiyon mein
ab bhi kahta hun tujhe waqt bacha dard na chun
wo jo likkha hai kisi taur nahin Tal sakta
aa mere dil mein koi dip jala dard na chun
main tere lams se mahrum na rah jaun kahin
aaKHiri bar mujhe KHud se laga dard na chun
ab to ye reshmi poren bhi chhidi jati hain
KHud ko ab baKHsh bhi de zulm na Dah dard na chun
ye nahin honge to khae nahin ho jaunga main
mere zaKHmon se koi git bana dard na chun
kuchh na dega ye masail se ulajhte rahna
chhoD sab kuchh meri banhon mein sama dard na chun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.