mana apni jaan ko wo bhi dil ka rog lagaenge
maanā apnī jaan ko vo bhī dil kā rog lagā.eñge
ahl-e-junūñ ḳhud kyā samjhe haiñ nāseh kyā samjhā.eñge
shāyad ashk o aah se hī ab bār-e-alam kuchh halkā ho
ham bhī kareñge shola-fishānī ham bhī lahū barsā.eñge
jī na sakeñge jiine vaale tark-e-ta.alluq kar ke magar
aap ko bhī kuchh vahshat hogī aap bhī kuchh pachhtā.eñge
milnā terā mushkil thā to jī lete is mushkil par
pā kar tujh ko khone vaale kyūñkar jī bahlā.eñge
mana apni jaan ko wo bhi dil ka rog lagaenge
ahl-e-junun KHud kya samjhe hain naseh kya samjhaenge
shayad ashk o aah se hi ab bar-e-alam kuchh halka ho
hum bhi karenge shola-fishani hum bhi lahu barsaenge
ji na sakenge jine wale tark-e-talluq kar ke magar
aap ko bhi kuchh wahshat hogi aap bhi kuchh pachhtaenge
milna tera mushkil tha to ji lete is mushkil par
pa kar tujh ko khone wale kyunkar ji bahlaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.