mana ki lab-e-zaKHm duhai nahin deta
maanā ki lab-e-zaḳhm duhā.ī nahīñ detā
mahram bhī to vo dast-e-hinā.ī haiñ detā
ye jashn hai kaise ki mubārak na salāmat
aapas maiñ koī shaḳhs badhā.ī nahīñ detā
kahte nahīñ sirf us ko faqat rañj-o-ta.ab hai
kuchh lutf ye be-ābla-pā.ī nahīñ detā
naqqād ki fan-kār kā mohtāt ravayya
gunjā.ish-e-añgusht-numāī nahīñ detā
aa jaao ki ab bhiig chalīñ raat ki palkeñ
vo shaḳhs to aatā bhī dikhā.ī nahīñ detā
imkān kī had merī ho kar letā huuñ islāh
maiñ apnī ḳhatāoñ ki safā.ī nahīñ detā
lafzoñ meñ rag-āsār kā ḳhuun aa to gayā hai
lekin ye abhī saaf dikhā.ī nahīñ detā
ai 'tāj' rifāqat na sahī dukh hai to ye hai
insāf bhī ik bhaa.ī ko bhaa.ī nahīñ detā
mana ki lab-e-zaKHm duhai nahin deta
mahram bhi to wo dast-e-hinai hain deta
ye jashn hai kaise ki mubarak na salamat
aapas main koi shaKHs badhai nahin deta
kahte nahin sirf us ko faqat ranj-o-tab hai
kuchh lutf ye be-abla-pai nahin deta
naqqad ki fan-kar ka mohtat rawayya
gunjaish-e-angusht-numai nahin deta
aa jao ki ab bhig chalin raat ki palken
wo shaKHs to aata bhi dikhai nahin deta
imkan ki had meri ho kar leta hun islah
main apni KHataon ki safai nahin deta
lafzon mein rag-asar ka KHun aa to gaya hai
lekin ye abhi saf dikhai nahin deta
ai 'taj' rifaqat na sahi dukh hai to ye hai
insaf bhi ek bhai ko bhai nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.