mana ki main ek naghma-e-be-saut-o-sada hun
maanā ki maiñ ik naġhma-e-be-saut-o-sadā huuñ
bhaTke hue logoñ ke liye bāñg-e-darā huuñ
tasvīr banā luuñ tirī jis rang meñ chāhūñ
banda huuñ magar apne taḳhayyul kā ḳhudā huuñ
fitrat hai mirī misl-e-mizāj-e-gul-e-ḳhandāñ
hañste hue har moḌ pe logoñ se milā huuñ
ḳhāmosh samundar huuñ ki Thahrā huā tūfāñ
is soch meñ sadiyoñ se maiñ sāhil pe khaḌā huuñ
aaj apne isī shahr meñ ye haal hai logo
ik phuul kī mānind maiñ kāñToñ meñ ghirā huuñ
mana ki main ek naghma-e-be-saut-o-sada hun
bhaTke hue logon ke liye bang-e-dara hun
taswir bana lun teri jis rang mein chahun
banda hun magar apne taKHayyul ka KHuda hun
fitrat hai meri misl-e-mizaj-e-gul-e-KHandan
hanste hue har moD pe logon se mila hun
KHamosh samundar hun ki Thahra hua tufan
is soch mein sadiyon se main sahil pe khaDa hun
aaj apne isi shahr mein ye haal hai logo
ek phul ki manind main kanTon mein ghira hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.