mana ki teri bazm mein chand aae hue hain
maanā ki tirī bazm meñ chāñd aa.e hue haiñ
lekin vo tire sāmne gahnā.e hue haiñ
jo ham se na milne kī qasam khaa.e hue haiñ
shāyad vahī aġhyār ke bahkā.e hue haiñ
mahtāb ke hālāt bhī dekheñ to kabhī vo
is husn-e-do-roza pe jo itrā.e hue haiñ
kah do unheñ aa kar mirī jannat meñ vo bas jaa.eñ
jannat se nikāle hue jo aa.e hue haiñ
aa.egī nazar 'rāz' koī kal bhī na sīdhī
sar-tā-ba-qadam aaj vo bal khaa.e hue haiñ
mana ki teri bazm mein chand aae hue hain
lekin wo tere samne gahnae hue hain
jo hum se na milne ki qasam khae hue hain
shayad wahi aghyar ke bahkae hue hain
mahtab ke haalat bhi dekhen to kabhi wo
is husn-e-do-roza pe jo itrae hue hain
kah do unhen aa kar meri jannat mein wo bas jaen
jannat se nikale hue jo aae hue hain
aaegi nazar 'raaz' koi kal bhi na sidhi
sar-ta-ba-qadam aaj wo bal khae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.