mana rah-e-hayat mein tanha hayat hai
maanā rah-e-hayāt meñ tanhā hayāt hai
mahsūs ho rahā hai koī saath saath hai
kyā ġham bichhaḌ gayā huuñ agar kārvāñ se maiñ
tum saath ho to saath mire kā.enāt hai
vo muskurā diye to hai aalam hī dūsrā
raushan mirī hayāt kī tārīk raat hai
shāyad hai muntashir abhī shīrāza-e-vajūd
kyoñ varna aadmī se gurezāñ hayāt hai
maiñ hādsāt-e-dahr ko ilzām kaise duuñ
apnī tabāhiyoñ meñ ḳhud apnā hī haath hai
do ghūñT tū bhī chakh le ki ho jaa.e lā-zavāl
ai maut mere haath meñ jām-e-hayāt hai
kāñTe mile kisī ko kisī ko mile haiñ phuul
yaaro ye apne apne muqaddar kī baat hai
dast-e-ḳhizāñ bahār ko chhūtā nahīñ 'nashāt'
tum jis ko maut kahte ho vo bhī hayāt hai
mana rah-e-hayat mein tanha hayat hai
mahsus ho raha hai koi sath sath hai
kya gham bichhaD gaya hun agar karwan se main
tum sath ho to sath mere kaenat hai
wo muskura diye to hai aalam hi dusra
raushan meri hayat ki tarik raat hai
shayad hai muntashir abhi shiraaza-e-wajud
kyon warna aadmi se gurezan hayat hai
main hadsat-e-dahr ko ilzam kaise dun
apni tabahiyon mein KHud apna hi hath hai
do ghunT tu bhi chakh le ki ho jae la-zawal
ai maut mere hath mein jam-e-hayat hai
kanTe mile kisi ko kisi ko mile hain phul
yaro ye apne apne muqaddar ki baat hai
dast-e-KHizan bahaar ko chhuta nahin 'nashat'
tum jis ko maut kahte ho wo bhi hayat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.