mane to kis ki diwana mane
maane to kis kī dīvāna maane
jitnī zabāneñ utne fasāne
andāz us kā ahvāl merā
kuchh maiñ na samjhūñ kuchh vo na jaane
allāh re ye ḳhud-e'timādī
maiñ ab chalā huuñ un ko bulāne
gum-karda-e-rah kyā sochtā hai
chhoḌ aayā pīchhe kitne Thikāne
merī vafā kā vo mo'tarif hai
apnī ḳhatā ko maane na maane
chāho to aao chāho na aao
donoñ ke yaksāñ hiile bahāne
kuchh mere ġham se nisbat hai un ko
yaad aa rahe haiñ kitne fasāne
kyā hai 'salīm' in bātoñ kā hāsil
kis ko chalā hai tū āzmāne
mane to kis ki diwana mane
jitni zabanen utne fasane
andaz us ka ahwal mera
kuchh main na samjhun kuchh wo na jaane
allah re ye KHud-e'timadi
main ab chala hun un ko bulane
gum-karda-e-rah kya sochta hai
chhoD aaya pichhe kitne Thikane
meri wafa ka wo mo'tarif hai
apni KHata ko mane na mane
chaho to aao chaho na aao
donon ke yaksan hile bahane
kuchh mere gham se nisbat hai un ko
yaad aa rahe hain kitne fasane
kya hai 'salim' in baaton ka hasil
kis ko chala hai tu aazmane
- Book : Noquush (Pg. B-370 E-384)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.