mangna KHwahish-e-didar se aage kya hai
māñgnā ḳhvāhish-e-dīdār se aage kyā hai
kabhī dekhā nahīñ dīvār se aage kyā hai
raat bhar ḳhauf se jaagī huī bastī ke makīñ
tū batā āḳhirī kirdār se aage kyā hai
kis liye is se nikalne kī duā.eñ māñgūñ
mujh ko ma.alūm hai mañjdhār se aage kyā hai
kuchh batāo to sahī suulī pe laTke hue shaḳhs
āḳhir is ishq kī begār se aage kyā hai
mangna KHwahish-e-didar se aage kya hai
kabhi dekha nahin diwar se aage kya hai
raat bhar KHauf se jagi hui basti ke makin
tu bata aaKHiri kirdar se aage kya hai
kis liye is se nikalne ki duaen mangun
mujh ko malum hai manjdhaar se aage kya hai
kuchh batao to sahi suli pe laTke hue shaKHs
aaKHir is ishq ki begar se aage kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.