mangne se qaza nahin milti
māñgne se qazā nahīñ miltī
chāhne se vafā nahīñ miltī
rog ye lā-ilāj hai yaaro
dard-e-dil kī davā nahīñ miltī
jaane qānūn kho gayā hai kahāñ
mujrmoñ ko sazā nahīñ miltī
ġhair kī bad-duā to miltī hai
dostoñ kī vafā nahīñ miltī
baat dil kī kise sunā.e 'arun'
ab koī dilrubā nahīñ miltī
mangne se qaza nahin milti
chahne se wafa nahin milti
rog ye la-ilaj hai yaro
dard-e-dil ki dawa nahin milti
jaane qanun kho gaya hai kahan
mujrmon ko saza nahin milti
ghair ki bad-dua to milti hai
doston ki wafa nahin milti
baat dil ki kise sunae 'arun'
ab koi dilruba nahin milti
- Book : Ehsas (Pg. 38)
- Author : Arun Kumar Arya
- Publication : Educational Publishing House (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.