mangta hun KHairiyat lab par dua rakhta hun main
māñgtā huuñ ḳhairiyat lab par duā rakhtā huuñ maiñ
jaane kab vo lauT aa.e dar khulā rakhtā huuñ maiñ
jāntā huuñ us kī har nārāzgī ko maiñ magar
apne hisse kā bhī to koī gila rakhtā huuñ maiñ
vasl ho yā hijr us ke apne hoñge vasvase
us kā jo bhī faisla ho bas vafā rakhtā huuñ maiñ
us ko bhī to ġham bichhaḌne kā ye honā chāhiye
is liye us kī galī se silsila rakhtā huuñ maiñ
jo mohabbat sachchī ho to lauT ke aa jaatī hai
aaj bhī is jeb meñ us kā patā rakhtā huuñ maiñ
uljhā rahtā huuñ maiñ apne hī ḳhayāloñ meñ kahīñ
koī to ġham hai jo andar hī dabā rakhtā huuñ maiñ
laakh mushkil aa.e 'qāsid' chaltā rakhnā kārvāñ
duur hai par aañkh manzil par lagā rakhtā huuñ maiñ
mangta hun KHairiyat lab par dua rakhta hun main
jaane kab wo lauT aae dar khula rakhta hun main
jaanta hun us ki har naraazgi ko main magar
apne hisse ka bhi to koi gila rakhta hun main
wasl ho ya hijr us ke apne honge waswase
us ka jo bhi faisla ho bas wafa rakhta hun main
us ko bhi to gham bichhaDne ka ye hona chahiye
is liye us ki gali se silsila rakhta hun main
jo mohabbat sachchi ho to lauT ke aa jati hai
aaj bhi is jeb mein us ka pata rakhta hun main
uljha rahta hun main apne hi KHayalon mein kahin
koi to gham hai jo andar hi daba rakhta hun main
lakh mushkil aae 'qasid' chalta rakhna karwan
dur hai par aankh manzil par laga rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.