mangte mangte dua mere sath
māñgte māñgte duā mire saath
bujh gayā āḳhirī diyā mire saath
tū ne mujh ko tasallī denā thī
tū bhī ai shaḳhs ro paḌā mire saath
dil meñ aayā ḳhayāl tujh se milūñ
chal paḌā ek rāsta mire saath
koī jachtā nahīñ alāva tire
varna ik ham-safar to thā mire saath
bad-nasībī ki ishq kar ke bhī
koī dhoka nahīñ huā mire saath
dushmanī to mirī thī sūraj se
shahr kā shahr jal gayā mire saath
saare chehre hī tere chehre haiñ
tū rahā hai judā judā mire saath
mangte mangte dua mere sath
bujh gaya aaKHiri diya mere sath
tu ne mujh ko tasalli dena thi
tu bhi ai shaKHs ro paDa mere sath
dil mein aaya KHayal tujh se milun
chal paDa ek rasta mere sath
koi jachta nahin alawa tere
warna ek ham-safar to tha mere sath
bad-nasibi ki ishq kar ke bhi
koi dhoka nahin hua mere sath
dushmani to meri thi suraj se
shahr ka shahr jal gaya mere sath
sare chehre hi tere chehre hain
tu raha hai juda juda mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.