Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mani ko bhula deti hai surat hai to ye hai

Akbar Allahabadi

mani ko bhula deti hai surat hai to ye hai

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    ma.anī ko bhulā detī hai sūrat hai to ye hai

    nature bhī sabaq siikh le zīnat hai to ye hai

    kamre meñ jo hañstī huī aa.ī mis-e-ra.anā

    teacher ne kahā ilm aafat hai to ye hai

    ye baat to achchhī hai ki ulfat ho misoñ se

    huur un ko samajhte haiñ qayāmat hai to ye hai

    pechīda masā.il ke liye jaate haiñ england

    zulfoñ meñ ulajh aate haiñ shāmat hai to ye hai

    public meñ zarā haath milā lījiye mujh se

    sāhab mire īmān qīmat hai to ye hai

    mani ko bhula deti hai surat hai to ye hai

    nature bhi sabaq sikh le zinat hai to ye hai

    kamre mein jo hansti hui aai mis-e-rana

    teacher ne kaha ilm ki aafat hai to ye hai

    ye baat to achchhi hai ki ulfat ho mison se

    hur un ko samajhte hain qayamat hai to ye hai

    pechida masail ke liye jate hain england

    zulfon mein ulajh aate hain shamat hai to ye hai

    public mein zara hath mila lijiye mujh se

    sahab mere iman ki qimat hai to ye hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now