mani-o-mafhum kya hon ishq ke mazmun mein
ma.anī-o-mafhūm kyā hoñ 'ishq ke mazmūn meñ
jis tarah koī ḳhayāl aa.e dil-e-majnūn meñ
'ishq se hotī hai is shiddat kī garmī ḳhuun meñ
khaultā hai jaise dariyā dopahar ko june meñ
jism meñ rag rag phaḌak uThtī hai soz-e-ishq se
garm-e-tuġhiyāñ jis tarah amvāj hoñ jaijūn meñ
husn se vāzeh huī hai mā'naviyyat 'ishq kī
shāmil-e-mafhūm hai 'unvān bhī mazmūn hai
yuuñ to haiñ ajzā bahut se shāmil-e-tarkīb-e-ishq
aarzū lekin sar-e-dārū hai is mā'jūn meñ
is tarah huuñ qaidī-e-hālāt 'bismil' jis tarah
sher ho piñjre meñ yā shāh-e-zafar rangūn meñ
mani-o-mafhum kya hon 'ishq ke mazmun mein
jis tarah koi KHayal aae dil-e-majnun mein
'ishq se hoti hai is shiddat ki garmi KHun mein
khaulta hai jaise dariya dopahar ko june mein
jism mein rag rag phaDak uThti hai soz-e-ishq se
garm-e-tughiyan jis tarah amwaj hon jaijun mein
husn se wazeh hui hai ma'nawiyyat 'ishq ki
shamil-e-mafhum hai 'unwan bhi mazmun hai
yun to hain ajza bahut se shamil-e-tarkib-e-ishq
aarzu lekin sar-e-daru hai is ma'jun mein
is tarah hun qaidi-e-haalat 'bismil' jis tarah
sher ho pinjre mein ya shah-e-zafar rangun mein
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 430)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.