mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain
ma.anī-tarāziyāñ haiñ rañgīñ-bayāniyāñ haiñ
duniyā meñ jitne muñh haiñ utnī kahāniyāñ haiñ
ma.anī-tarāziyāñ yā rañgīñ-bayāniyāñ haiñ
ye bhī kahāniyāñ haiñ vo bhī kahāniyāñ haiñ
kyā mehrbāniyāñ thiiñ kyā mehrbāniyāñ haiñ
vo bhī kahāniyāñ thiiñ ye bhī kahāniyāñ haiñ
ik baar us ne mujh ko dekhā thā muskurā kar
itnī sī hai haqīqat baaqī kahāniyāñ haiñ
suntā hai koī kis kī kis ko sunā.e koī
har ek kī zabāñ par apnī kahāniyāñ haiñ
kuchh baat hai jo chup huuñ maiñ sab kī sun ke varna
yaad ai 'vafā' mujhe bhī sab kī kahāniyāñ haiñ
mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain
duniya mein jitne munh hain utni kahaniyan hain
mani-taraaziyan ya rangin-bayaniyan hain
ye bhi kahaniyan hain wo bhi kahaniyan hain
kya mehrbaniyan thin kya mehrbaniyan hain
wo bhi kahaniyan thin ye bhi kahaniyan hain
ek bar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni si hai haqiqat baqi kahaniyan hain
sunta hai koi kis ki kis ko sunae koi
har ek ki zaban par apni kahaniyan hain
kuchh baat hai jo chup hun main sab ki sun ke warna
yaad ai 'wafa' mujhe bhi sab ki kahaniyan hain
- Book : Sang-e-meel (Pg. 68)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.