mara is shart pe ab mujhko dobara jae
maarā is shart pe ab mujh ko dobāra jaa.e
nok-e-neza se mirā sar na utārā jaa.e
shaam se pahle kisī hijr meñ mar jā.egā
sūraj ik baar mire dil se guzārā jaa.e
us kī ye zid ki mirā qatl pas-e-parda ho
mirī ḳhvāhish mujhe bāzār meñ maarā jaa.e
us ke aane kī bhī ummīd abas lagtī hai
us ko jaanā hai to phir saare kā saarā jaa.e
maiñ zamīñ-zād huuñ ai chāñd-nagar ke baasī
is bulandī se na phir mujh ko pukārā jaa.e
maiñ bahar-shakl tire dil meñ utarnā chāhūñ
Thahre dariyā to samundar meñ kināra jaa.e
mara is shart pe ab mujh ko dobara jae
nok-e-neza se mera sar na utara jae
sham se pahle kisi hijr mein mar jaega
suraj ek bar mere dil se guzara jae
us ki ye zid ki mera qatl pas-e-parda ho
meri KHwahish mujhe bazar mein mara jae
us ke aane ki bhi ummid abas lagti hai
us ko jaana hai to phir sare ka sara jae
main zamin-zad hun ai chand-nagar ke basi
is bulandi se na phir mujh ko pukara jae
main bahar-shakl tere dil mein utarna chahun
Thahre dariya to samundar mein kinara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.