marka jab chhiD gaya to kya hua humse suno
ma.arka jab chhiḌ gayā to kyā huā ham se suno
kushtagān-e-shahr-e-ḳhūñ kā mājrā ham se suno
kyuuñ shajar sūkhe hue haiñ kyuuñ nahīñ barg o samar
mausamoñ ne is chaman meñ kyā kiyā ham se suno
parda-e-sad-rañg-hairat ḳhāna-e-nairañg meñ
kaun hai ā.īna-andar-ā.ina ham se suno
taaq o dar meñ kyuuñ charāġhoñ kī laveñ ḳhāmosh haiñ
kyā huā vo raushnī kā silsila ham se suno
aur ye chashm-e-tamāshā band ho jaatī hai jab
parda-e-dil par nazar aatā hai kyā ham se suno
kyuuñ nahīñ hote munājātoñ ke ma.anī munkashif
ramz ban jaatā hai kyuuñ harf-e-duā ham se suno
marka jab chhiD gaya to kya hua hum se suno
kushtagan-e-shahr-e-KHun ka majra hum se suno
kyun shajar sukhe hue hain kyun nahin barg o samar
mausamon ne is chaman mein kya kiya hum se suno
parda-e-sad-rang-hairat KHana-e-nairang mein
kaun hai aaina-andar-aina hum se suno
taq o dar mein kyun charaghon ki lawen KHamosh hain
kya hua wo raushni ka silsila hum se suno
aur ye chashm-e-tamasha band ho jati hai jab
parda-e-dil par nazar aata hai kya hum se suno
kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif
ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno
- Book : saughat-pahli-kitab-magazines (Pg. 369)
- Author : mahmood ayaaz
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.