matam-e-ranj-o-alam gham hain baham chaaron ek
matam-e-ranj-o-alam gham hain baham chaaron ek
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
mātam-e-ranj-o-alam ġham haiñ baham chāroñ ek
sitam-o-jaur-jafā nāz-o-sanam chāroñ ek
jab aTaktā hai jo dil kuchh nahīñ chhoḌe baaqī
nañg-o-nāmūs hayā aur sharam chāroñ ek
ishq-bāzāñ ke ta.iiñ 'ishq meñ tere ai yaar
masjid-o-madrasa-o-dair-o-haram chāroñ ek
farq hargiz nahīñ jo tujh se milāve āñkheñ
tiir aur ḳhanjar-o-jamdhar ke zaḳham chāroñ ek
zulf juuñ mār-e-siyah qad jo daraḳht-e-chandan
aaj dekh aa.e haiñ is taur se ham chāroñ ek
yaar aur āshiq-o-sāqī-o-sharāb-o-sabza
dekhtā hai koī yak jaa.e pe kam chāroñ ek
bhuul jaate haiñ sabhī bazm meñ mah-rūyoñ kī
aql-o-dānish-o-tamīz aur faham chāroñ ek
huuñ tirā ai sanamā is vaza' farmāñ-bardār
sārbān-o-nafar-o-banda ḳhadam chāroñ ek
ġhair vaslat ke tire aur na ḳhvāhish apnī
kyā talā nuqra-o-dīnār-o-diram chāroñ ek
uTh gayā qaum se ashrāf ke haihāt afsos
'ishrat-o-'aish kahāñ jāh-o-hasham chāroñ ek
raushnā.ī-o-zabāñ tohfa kare qissa bayāñ
jis ghaḌī hote haiñ kāġhaz-o-qalam chāroñ ek
bhuul jā shauq meñ vaslat ke tū sab ko ai dil
dozaḳh-o-jannat o a.arāf o 'adam chāroñ ek
vāste tere muqarrar haiñ dil andesha na kar
mehrbānī-o-atā fazl-o-karam chāroñ ek
hai shujā'at-o-saḳhā hilm hayā 'qāsim-alī'
shaan meñ sher-e-ḳhudā ke haiñ ḳhatam chāroñ ek
matam-e-ranj-o-alam gham hain baham chaaron ek
sitam-o-jaur-jafa naz-o-sanam chaaron ek
jab aTakta hai jo dil kuchh nahin chhoDe baqi
nang-o-namus haya aur sharam chaaron ek
ishq-bazan ke tain 'ishq mein tere ai yar
masjid-o-madrasa-o-dair-o-haram chaaron ek
farq hargiz nahin jo tujh se milawe aankhen
tir aur KHanjar-o-jamdhar ke zaKHam chaaron ek
zulf jun mar-e-siyah qad jo daraKHt-e-chandan
aaj dekh aae hain is taur se hum chaaron ek
yar aur aashiq-o-saqi-o-sharab-o-sabza
dekhta hai koi yak jae pe kam chaaron ek
bhul jate hain sabhi bazm mein mah-ruyon ki
aql-o-danish-o-tamiz aur faham chaaron ek
hun tera ai sanama is waza' farman-bardar
sarban-o-nafar-o-banda KHadam chaaron ek
ghair waslat ke tere aur na KHwahish apni
kya tala nuqra-o-dinar-o-diram chaaron ek
uTh gaya qaum se ashraf ke haihat afsos
'ishrat-o-'aish kahan jah-o-hasham chaaron ek
raushnai-o-zaban tohfa kare qissa bayan
jis ghaDi hote hain kaghaz-o-qalam chaaron ek
bhul ja shauq mein waslat ke tu sab ko ai dil
dozaKH-o-jannat o aaraf o 'adam chaaron ek
waste tere muqarrar hain dil andesha na kar
mehrbani-o-ata fazl-o-karam chaaron ek
hai shuja'at-o-saKHa hilm haya 'qasim-ali'
shan mein sher-e-KHuda ke hain KHatam chaaron ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.