mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di
māthe pe paḌī zulf-e-girah-gīr hilā dī
kyuuñ tum ne dil-e-ḳhufta kī zanjīr hilā dī
vaise to mire ishq kā har naqsh hasīñ thā
jab dard ne khīñchī to ye tasvīr hilā dī
ḳhat bhej diyā kaaT ke paimān-e-mulāqāt
ye kaun hai jis ne tirī tahrīr hilā dī
yuuñ hī na samajh ahl-e-mohabbat ke junūñ ko
kam-baḳht ne jab chāhā hai taqdīr hilā dī
vo zalzala go roz hilā detā thā dil ko
is baar magar saarī hī ta.amīr hilā dī
mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di
kyun tum ne dil-e-KHufta ki zanjir hila di
waise to mere ishq ka har naqsh hasin tha
jab dard ne khinchi to ye taswir hila di
KHat bhej diya kaT ke paiman-e-mulaqat
ye kaun hai jis ne teri tahrir hila di
yun hi na samajh ahl-e-mohabbat ke junun ko
kam-baKHt ne jab chaha hai taqdir hila di
wo zalzala go roz hila deta tha dil ko
is bar magar sari hi tamir hila di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.