mawara-e-jahan se aae hain
māvarā-e-jahāñ se aa.e haiñ
aaj ham ḳhumsitāñ se aa.e haiñ
is qadar be-ruḳhī se baat na kar
dekh to ham kahāñ se aa.e haiñ
ham se pūchho chaman pe kyā guzrī
ham guzar kar ḳhizāñ se aa.e haiñ
rāste kho ga.e ziyāoñ meñ
ye sitāre kahāñ se aa.e haiñ
is qadar to burā nahīñ 'jālib'
mil ke ham us javāñ se aa.e haiñ
mawara-e-jahan se aae hain
aaj hum KHumsitan se aae hain
is qadar be-ruKHi se baat na kar
dekh to hum kahan se aae hain
hum se puchho chaman pe kya guzri
hum guzar kar KHizan se aae hain
raste kho gae ziyaon mein
ye sitare kahan se aae hain
is qadar to bura nahin 'jalib'
mil ke hum us jawan se aae hain
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 58)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.