maya-jal na toDa jae
māyā-jāl na toḌā jaa.e
lobhī man mujh ko tarsā.e
mil jaa.e to rog hai duniyā
mil na sake to man lalchā.e
mere aañsū un kā dāman
ret pe jharnā sūkhā jaa.e
shīshe ke mahloñ meñ har dam
kāñch kī chūḌī khankī jaa.e
pyaar mohabbat rishte naate
'sānī' koī kaam na aa.e
maya-jal na toDa jae
lobhi man mujh ko tarsae
mil jae to rog hai duniya
mil na sake to man lalchae
mere aansu un ka daman
ret pe jharna sukha jae
shishe ke mahlon mein har dam
kanch ki chuDi khanki jae
pyar mohabbat rishte nate
'sani' koi kaam na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.