mayus ho ke bazm se teri nikal ke hum
māyūs ho ke bazm se terī nikal ke ham
shiddat se muntazir haiñ payām-e-ajal ke ham
tauba to kī thī ham ne kisī ke sujhāo par
pī leñge aaj tauba irāda badal ke ham
tab shola-e-vafā kī tire raushnī huī
jab ḳhaak ho chuke tirī furqat meñ jal ke ham
masjid meñ the to vā.iz-o-mullā ke biich the
pahuñche jo mai-kade meñ to sāġhar meñ chhalke ham
phirte haiñ zaḳhm-e-dil liye sahrāoñ meñ 'majīd'
kyā ḳhvāb dekhte the hasīñ ik mahal ke ham
mayus ho ke bazm se teri nikal ke hum
shiddat se muntazir hain payam-e-ajal ke hum
tauba to ki thi hum ne kisi ke sujhao par
pi lenge aaj tauba irada badal ke hum
tab shola-e-wafa ki tere raushni hui
jab KHak ho chuke teri furqat mein jal ke hum
masjid mein the to waiz-o-mulla ke bich the
pahunche jo mai-kade mein to saghar mein chhalke hum
phirte hain zaKHm-e-dil liye sahraon mein 'majid'
kya KHwab dekhte the hasin ek mahal ke hum
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 145)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.